Har Dhadkan Ko Talash Teri Lyrics

Har Dhadkan Ko Talash Teri Lyrics. The song name is Noor E Khuda which is sung by Adnan Sami, Shankar Mahadevan & Shreya Ghoshal.

Har Dhadkan Ko Talash Teri Lyrics

Noor-e-Khuda
Ho, ho
Noor-e-Khuda

Ajnabi mod hai, khauf har ore hai
Har nazar pe dhuaan chha gaya
Pal-bhar mein jaane kya kho gaya
Aasmaan zard hai, aahein bhi sard hain
Tan se saya juda ho gaya
Hmm, pal-bhar mein jaane kya kho gaya

Saans ruk si gayi, jism chhil sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai humein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yoon na humse nazrein phira

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai humein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yoon na humse nazrein phira

Noor-e-Khuda

Ho, nazrein-karam farma hi de
Ho, deen-o-dharam ko jaga hi de
Ho, jalti hui tanhaiyan, roothi hui parchaiyan
Kaisi udi yeh hawa? Chhaya yeh kaisa samaan?

Rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai humein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yoon na humse nazrein phira

Ga ma pa ni sa ga

Ujde se lamhon ko aas teri
Zakhmi dilon ko hai pyaas teri
Har dhadkan ko talash teri
Tera milta nahi hai pata

Khaali aankhein khud se sawaal karein
Amanon ki cheekh behaal kare
Behta lahu fariyad kare
Tera mit’ta chala hai nishaan

Rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai humein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yoon na humse nazrein phira

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aajkal tu kahan hai yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aajkal tu kahan hai yeh bata

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aajkal tu kahan hai yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Kya yeh sach hai ki tu hai humse khafa?

Noor-e-Khuda

Music Video